In between CD 6283 IC and TDA 2030 IC which is best

Hello Guys Aaj Post Me Ham Janege cd6283 Aur Tda2030 ic me se kon Si ic best Hai,
Cd6283 aur tda2030 ic ko to aap jante hi hoge Agar Aap ye ic ko nahi jante Ho To me Aap ko Bata Deta Hu Ye Dono Amplifier Ic Hai, 
Jo Ki Bahut Popular Hai,

Aaj Ham Iska Comparison Karenge Ki Dono Me Se Kon Si Ic Best Hai,
---------------------------------------------------------
Sabse Pahle Baat Karte Hai Inke Overview
Cd6283 Ic Overview
Cd6283 Ic Me 12 Pin Rahti Hai,
---------
Tda2030 ic Overview
Tda2030 ic Me Only 5 Pin hai..
---------------------------------------------------------
Ab Dekh Lete Hai Dono Ic Ka Output

Cd6283 ic Output
Cd 6283 Ic Se Aap Stereo Amplifier Bana Sakte Hai
Single Channel Par Cd6283 Apko 9watt Degi
Dual Channel Par Cd6283 Apko 4.5watt Degi 2x
---------

Tda2030 Output
Tda2030 Ic Se Aap Mono Amplifier Hi Bana Sakte Hai,
Aur Iska Output 30Watt Maximum Hai
---------------------------------------------------------
Ab Jante Hai Ki dono Ic,s Ko Kitne Voltage Ki Power Supply Deni Padegi

Cd6283 Ic Power Supply
Cd6283ic Ko Operate Karne Ke liye Aap Ko 12v 0.5 Amp To 1 Ampere Dene Hoge

Tda2030 ic Power Supply
Tda2030ic ko Operate Karne Ke liye Aap Ko 12-0-12 ki Power Supply Deni Padegi Jo Ki 2 se 3 Ampere Ki Hogi

Ab Baat karte Hai Sound Type Ke Bare Me 
Cd6283 ic Sound Type
Cd6283ic Main Apko Class CD Ka Sound Aata Hai,

Tda2030 ic Sound Type
Tda2039ic Main Apko Vlass Ab Ka Sound Milega


Ab Baat Karte Hai, Ki In Done Ic Main Se Kon Si Ic Ka Amplifier Apko Banana Chahiye,
Agar Aap Cheap Amplifier Bana Chahte Hai,
To Aap Cd6283 Ka Amplifier Bana Sakte Hai,

Isme Aap Ko Bahut Kam Rupay Lagege 
Agar Aap Is Ic Se Amplifier Banayege To Aap Bahut Kam Components Ki Jarurat Hogi

Aapko Market Main Bahut Kam Rupay Main Apko Pura Board Mil Jayga,
Market Main Board 2 Type Main Aate Hai, Single Channel Ka Aur Dual Channel Ka Aap Ko Jaisa Chahiye Aap Woh Le Sakte Hai,

Market Me Aapko Single Channel Ki Board 50 Rupees Main Mil Jaygi
Aur Aapko Dual Channel Ki Board 60 Rapees Main Mil Jaygi,


Aur Aapko 12v 1 Ampere Ki Power Supply Chahiye Hogi,
Aap Market Se 0-12 ka Transformer Chahiye Hoga,
---------
Agar Aap Ek Good Quality Ka Amplifier Banana Chahte Hai,
To Aap Ko Tda2030 Ic Ka Amplifier  Bahut Achha Lagega,
Iski Cost Aapko Thodi Jada Pay Karni Padegi 
Market Main Aapko Iska Single Channel Ka Board Nahi Mil Payga,
Kahi Kahi Par Diy Single Channel Ka Board Mil Sakta Hai
Market Main Aapko 3 Channel Ka Board Milega,
Aap Market Se Ye Ic Buy Kar Sakte Hai,
Ye Ic Aapko 20 Rupay Ki Mil Jaygi,
Aur Isme Thode Aur Components Buy Karne Padege, Jo Ki 30 Rupay Ke Under Aa jayge,
Aapka Single Channel Ka Board Banane Main 50 Rupay Lagege,
Aur Aapko 2 se 3 Ampere Ki Power Supply Chahiye,

Market Se Aap 3 Ampere Ka Transformer Buy Kar Sakte Hai,
3 Ampere Ka Transformer Aapko 150 Ke Aas pass mil Jayga,
Tda2030 Ke Liye Aap Ko Market Se 12-0-12 ka Transformer Chahiye Hoga,

Post a Comment (0)
Previous Post Next Post